Roman script

suhaani raat dhal chuki

na jane tum kab aaoge

suhaani raat dhal chuki

na jane tum kab aaoge

jaha ki rut badal chuki 

na jane tum kab aaoge

nazare apni mastiya

dikha dikha ke so gaye

sitare apni raushani

luta luta ke so gaye

har ek shamma jal chuki

na jane tum kab aaoge

suhani raat dhal chuki 

tadap rahe hai ham yaha  

tadap rahe hai ham yaha

tumhare itazar mein 

tumhare itazar mein

khiza ka rag, aa chala hai      

mausam-e-bahaar mein 

khiza ka rag, aa chala hai      

mausam-e-bahaar mein           

hawa bhi rukh badal chuki 

na jaane tum kab aaoge

suhani raat dhal chuki

na jane tum kab aaoge

Explore this song