Roman script

subhanallah haay hasi chehra haay

subhanallah hasi chehra ye mastana adaaye

khuda mahafuz rakhe har bala se, har bala se

tumhe dekha hoy to dil bola hoy

tumhe dekha to dil bola tumko du duaaye

khuda mahafuz rakhe har bala se, har bala se

kare puja zamana jiski vo tasvir ho tum

mila karti hai jannat jisse vo taqdir ho tum

kamar patli haay nazar bijli haay

kamar patli haay nazar bijli hai zulfe yaa ghataaye

khuda mahafuz rakhe har bala se, har bala se 

subhanallah hasi chehra ye mastana adaaye

khuda mahafuz rakhe har bala se, har bala se

na jaane kiski qismat me hai mukhda chaand sa ye

na jaane kiske ghar chamakega tukda chaand ka ye

ijaazat ho haay to phir ham bhi haay

ijaazat ho to phir ham bhi muqaddar aazamaaye

khuda mahafuz rakhe har bala se, har bala se

subhanallah hasi chehra ye mastana adaaye

khuda mahafuz rakhe har bala se, har bala se

Explore this song