Roman script

khushi jisne khoji wo dhan leke lota

hansi jisne khoji chaman leke lota

magar pyar ko khojne jo chala wo

na tan leke lota na man leke lota

subaha na aayi, sham na aayi 

subaha na aayi, sham na aayi 

jis din teri yaad na aayi, yaad na aayi 

subaha na aayi, sham na aayi 

kaisi lagan lagi ye tujhse, kaisi lagan ye lagi 

hansi kho gayi, khushi kho gayi 

aansu tak sab rahan ho gaye 

arthi tak nilam ho gayi, arthi tak nilam ho gayi

duniya ne dushmani nibhayi, yaad na aayi 

subaha na aayi, sham na aayi 

tum mil jate to ho jati puri apni ram kahani 

khandhar taz mahal ban jata, ganga jal aankho ka pani 

sanso ne hathkadi lagayi, yaad na aayi

subaha na aayi, sham na aayi 

jaise bhi ho, tum aa jao, jaise bhi ho, tum aa jao 

aa jao aa jao tum aa jao

aag lagi hai tan me aur man me 

aag lagi hai tan me aur man me   

ek tar ki duri hai ek tar ki duri hai

bas daman aur qafan me 

huyi mot ke sang sagayi, yaad na aayi 

aa jao, aa jao, aa jao, aa jao, aa jao, aa jao

Explore this song