Roman script

shrishti thi anjan, vishav tha sunsan

aur vidhata ne kiya, iska ka naya nirmaan 

chandrma, chandrma ko de diya  mangaly fir 

nav kamal madhur komalta ise di 

nav dhanush, nav dhanush aur teer ki di veerta 

patr ye vatvrichh ka, vatvrichh ki nirmaan kari 

shakti bhi bandh le, sab vishv ko wo bhakti bhi 

jab samaye gun sabhi, tab jagmagayi stree 

jab mile tab tatav, isme ban gayi ye stree 

ek aisi stree, ek din janmi

pita vishwamitr ka tap tej le 

menka maa ka amar saundray le 

kintu dharti par padi wo shraap si 

ya kisi purnayaatma ki paap si 

jyot ye stree ki magar jalti rahi

sapwan pachhi se wo palti rahi 

ek din rishi kanw ne aamod me 

ek anaathan ko uthaya god me 

hom ki jwala yaha jalti rahi 

yag mantro me sakun palti rahi

Explore this song