Roman script

ved lagleya shivay

ithihaas ghadat nahi

yeh story hai glory hai

starting jo ho rahi hai

sapno ki dori mere haath main

ladka main pune se

average sa student

sab kehte the rehna tu aukaat main

mere sapno main haste the

dil mein jo baste the

sone na dete mujhe raat mein

b tech tu kar le beta

jaa ke tu padhle beta

bithaya naukri ko mere khyaalat mein

arey nahi karna tha

kisi ke niche kaam

na mujhe ban na tha

kisi chapri ka gulaam

main dekh chuka tha bohat

bade bade sapne

aur yeh bhi jaanta tha ki

rutenge mere apne

apno ka picha choda

khada khud ke saath main

sapno ka piche dauda

duniya aayi aadh mein

rok na saki woh saali

duniya gayi bhaad mein

rok na saki woh saali

yeh bole looser par tu jaanta

tu kar sakta hai

kaun angry prash

uska raaz kya tu ban sakta hai

zidd pakkad le chu na aasman

tu kar sakta hai

orbit kyun ghume

shooting start jab tu ban sakta hai

ssc ke baad

main science mein gaya tha

english kharab

sab lag raha naya tha

padhta tha jo kuch samjh nahi aata

rote rote aksar khud main chilata

darr jis baat ka hua wohi khel

hsc mein jaa ke ho gaya main fail

kiya phir btech hua wahi bura haal

fasta chala gaya jaise koi jaal

maine college chod diya

mera college internet

ek lavya focus dronacharya internet

maine liya headset aur aaya youtube pe

banaya parivaar yaha million views mille

yeh bole looser par tu jaanta tu kar sakta hai

andhero mein ujala raasta tu ban sakta hai

zidd pakad le chu na asmaan tu kar sakta hai

orbit kyu ghume shooting star

jab tub ban sakta hai

mere haath ke laqeer mein na taqdeer hai

kuch lakeer waale aaj bhi faqeer hai

mere haatho mein zanjeer hai

meri baatey yeh gambhir hai

paiso se garib lekin shabdo se amir

jo dikhtha tha woh likhta tha

phir mic pe jaake cheekta tha

chilata apni video mein

ab zindagi gujarti meri studio mein

ha socha waqt bhi rukega

aasman bhi jhukega

haath jo bhi laga dekha

likh daala paper pe ghar pe

ms paint pe jo kiya animation

hila diya pura nation

tab aaya angry prash hai

speed unstoppable

na hota kabhi crash hai

big bang big band youtube pe big gang

5 million light years faila mera big bang

big bang big band youtube pe big gang

5 million light years faila mera big bang

big bang big band youtube pe big gang

5 million light years faila mera big bang

big bang big band youtube pe big gang.

Explore this song