Roman script

hey humnava mujhe apna bana le

sukhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

hmm hoon akela, zara haath badha de

sukhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

kab se mai dar dar phir raha musafir dil ko panah de

tu awaargi ko meri aaj thehra de

hoon akela, thoda pyaar jataa de

sukhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

murjhaayi si shakh pe dil ki phul khilte hai kyu

baat gulo ki, zikr mehak ka achcha lagta hai kyu

un rango se tune milaaya jinse kabhi mai mil na paaya

dil karta hai tera shukriya, phir se bahaare tu la de

dil ka soona banjar mehka de

sukhi padi dil ki is zameen ko bhiga de

hoon akela, zara haath badha de

sukhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

waise toh mausam guzre hain zindagi me kayi

par ab na jaane kyu mujhe wo lag rahe hai hasin

tere aane par jaana maine kahi na kahi zinda hu mai

jine laga hu mai ab ye fizaye, chehre ko chhuti hawaye

inki tarah do kadam toh badha le

sukhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

hoon akela, zara haath badha de

sukhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

Explore this song