Roman script

shayad main palat aau, darwaza khula rakhna

hatho ki lakiro mein, hatho ki lakiro mein

thodi si jagah rakhna

shayad main palat aau, darwaza khula rakhna

fariyaad mohabbat ki tadpayegi aakhir to

ye jaan akele mein ghabrayegi aakhir to

aapas ki ye ranjish hain mit jayegi aakhir to

chahat ke gharondo ko tum yunhi saja rakhna

hatho ki lakiro mein thodi si jagah rakhna

shayad main palat aau, darwaza khula rakhna

sab log ye puchhenge kyun tumse khafa hu main

ek baar wafa karke kyun tujhse juda hu main

baksha na jise tumne kya aisi khata hu main

umeed ke aangan mein ek shama jala rakhna

umeed ke aangan mein ek shama jala rakhna

hatho ki lakiro mein thodi si jagah rakhna

shayad main palat aau, darwaza khula rakhna

mumkin hai main khat likhu ashqo mein jo duba ho

us khat ki siyahi mein jazbaat ka dariya ho

milne ki tamanna hain har labz ye kehta ho

guzre huye lamho ko seene se laga rakhna

guzre huye lamho ko seene se laga rakhna

hatho ki lakiro mein thodi si jagah rakhna

shayad main palat aau, darwaza khula rakhna

shayad main palat aau, darwaza khula rakhna

Explore this song