Roman script

sharm aati hai magar aaj ye kehna hoga

sharm aati hai magar aaj ye kehna hoga

ab hame aap ke qadamo hi me rehna hoga

sharm aati hai magar 

aapse ruth ke ham jitna jiye khaak jiye

aapse ruth ke ham jitna jiye khaak jiye

kayi ilzaam liye aur kayi ilzaam diye

aaj ke baad magar kuchh bhi na kehna hoga

ab hame aap ke qadamo hi me rehna hoga

sharm aati hai 

der ke baad ye samjhe hai mohabbat kya hai

ab hame chand ke jhumar ki jarurat kya hai

pyar se badh ke kaun sa gehna hoga

ab hame aap ke qadamo hi me rehna hoga

sharm aati hai magar aaj ye kehna hoga

aap ke pyaar ka bimaar hamara dil hai

aap ke pyaar ka bimaar hamara dil hai

aap ke gam ka kharidar hamara dil hai

aap ko apna koyi dard na sahna hoga

ab hame aap ke qadamo hi me rehna hoga

sharm aati hai magar aaj ye kehna hoga

Explore this song