Roman script

shankhnad, shankhnad

shankhnad, shankhnad

ho gaya hai shankhnaad, haath shastr le zara

rashtra ke jo drohi hain, dand unko de zara

yuddh swabhimaan ka hai, haarna hai ab mana

dharm ko adharm se karna hoga saamna

shankhnad, shankhnad

daanvon ke jhund par, kaal ban ke tut ja

jeet le muqaabla, jeet le muqaabla

ho, jeet le muqaabla, jeet le muqaabla

shankhnad, shankhnad, shankhnad, shankhnad

ram ki dhara hai ye, raavnon ka kaam kya?

krishna ki ye bhoomi hai, vaas karte devta

shankhnad

karm se na peeche hat, geeta me yehi likha

ansh tujhme shiv ka hai, traahimaam de macha

ansh tujhme shiv ka hai, traahimaam de macha

daanvon ke jhund par, kaal ban ke tut ja

daanvon ke jhund par, kaal ban ke tut ja

jeet le muqaabla, jeet le muqaabla

jeet le muqaabla, jeet le muqaabla

yuddh ye prachand hai, shaurya bhi akhand hai

aaj tere rakt me shaurya hai dhadhaadta

tukda tukda ho na maa bharati ki ashmita

tukda tukda ho na maa bharati ki ashmita

shankhnad

tod shatru ka ghamand, sir jhuka de paap ka

maatrubhoomi ki shapath hai fan kuchal de saap ka

maatrubhoomi ki shapath hai fan kuchal de saap ka

daanvon ke jhund par, kaal ban ke tut ja

daanvon ke jhund par, kaal ban ke tut ja

jeet le muqaabla, jeet le muqaabla

jeet le muqaabla, jeet le muqaabla

shankhnad, shankhnad, shankhnad, shankhnad

jeet le muqaabla, jeet le muqaabla

shankhnad, shankhnad, shankhnad, shankhnad

Explore this song