Roman script

shama bujhane ko chali, shama bujhane ko chali 

hai yahi dard ki jal jaye patanga na kahi

shama bujhane ko chali, shama bujhane ko chali 

usane chaha ki mera, chahanewala toh rahe

mai rahu ya naa rahu, ghar kaa ujala toh rahe

apne pritam ke liye, chhod  di pritam ki gali

shama bujhane ko chali, shama bujhane ko chali 

bhulakar sabako bas ik, apni vafa sath liye

apne hi ashkon me bhigi huyi ik rat liye

gam ke tufan me ghiri thokare khati nikali

shama bujhane ko chali, shama bujhane ko chali

Explore this song