Roman script

sar jhuka ke kar salaam hai shaam shaandaar

aasmaan se aa giri hai shaam shaandaar

chak de andhera chaand jala de bulb bana ke

fikr na kariyo karna bhi kya hai bijli bacha ke

sar-e-aam pila khushi ke jaam shaandaar

aasmaan se aa giri ye shaam shaandaar

jazbaat ke chillar ko note bana ke

mehandi raat pe khulke luta

chingaariyon ko visphot bana ke

aiyyashi ke tu rocket chhuda

kaisa darr tu kar guzar ye kaam shaandaar

aasmaan se aa giri ye shaam shaandaar

ye shaam shaandaar ye shaam shaandaar

Explore this song