Roman script

mere hath main hai chhuan mulayam

tere hath ki aur main khush hu

mere khwab mein

hissedariyan hai tere khwab ki

aur main khush hoon

dard ko chhod ke aa rahe hain

hum khushi ke sheher jaa rahe hain

tez dhoop hai

par kami nahi hai humko chhaon ki

aur main, aur main khush hun

bas pyaar se chal jaayega

kharcha hamara, kharcha hamara

jo bhi mile mil baant ke

dono kar lenge guzara

yeh nishaniyaan

hai nayi kahani ki shuruyat ki

aaur main khush hun

mere khwab mein

hissedariyan hain tere khwab ki

aur main khush hun

aur main khush hun

suitcase mein humne hai baandha

saaman kam, armaan zyada

lambe safar ka hai iraada

khane ke liye

baki rotiyan hai kal raat ki

aur main khush hun

mere khwab mein

hissedariyan hain tere khwaab ki

aaur main khush hoon

dard ko chhod ke aa rahe hain

hum khushi ke sheher jaa rahe hain

tez dhoop hai

par kami nahi hai humko chhaon ki

aur mein, aur mein khush hun

aur mein khush hun

Explore this song