Roman script

sau ka note hai sau ka note hai 

sau ka note hai baabu

ise dekhkar kaun kar sake, apane dilpar kaabu

sau ke note ke chakkar ne hai 

bana diyaa ghancakkar 

duniya chakkar khaati hai, hamesha takkar khati hai 

isi ke liye duniyaa dil se maan lutaati hia 

ki duniya,

ki duniyaa chakkar khaati hai, hamesha takkar khaati hai

kaho sach kaha ya jhuth 

are biwi bachche chhod ke ghar par 

piya chale pardesh 

ek note ban jaayega to laut aayenge desh

ek se do aur do se teen 

teen se tera paaye 

lagi jodane ki dhun bhaiyaa 

ghar ki yaad bhulaaye 

ye duniyaa uljhi jaati hai

hamesha takkar khati hai

sau ke note ke chakkar ne hai                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                              sau ke note ke chakkar ne hai 

bana diyaa ghancakkar

duniya chakkar khaati hai, hamesha takkar khati hai 

kyu samjhe ghanchakkar samajhe haa yahi tha 

pandit ho mulla ho ya majduur ya mota seth 

are ho ho mota seth

isake bina kahaa bhaarta hai kabhi kisi ka pet

kabhi kisi ka pet, achcha ji 

isake pichhe duniyaa aapas me lad jaati hai 

atom bam barsaati hai 

duniya chakkar khaati hai, hamesha takkar khati hai 

sau ke note ke chakkar ne hai 

bana diyaa ghancakkar           

duniya chakkar khaati hai, hamesha takkar khati hai 

tha kal aalishaan mahal, the chain ke sab saamaan 

bada maan tha kaudimal ka, bahut badi thi shaan 

sau ke note ne nata toda, ban gaye aaj bhikhaari 

yaar dost sab hawaa ho gaye, gayi bhad me yaari    

ye duniyaa badal bhi jaati hai 

sau ke note ke chakkar ne hai 

bana diyaa ghancakkar

Explore this song