Roman script

sau bar kaha dil ne ek bar idhar dekho

sau bar kaha dil ne ek bar idhar dekho

tum humko mohabbat se tum humko mohabbat se 

bas ek najar dekho ek bar idhar dekho

julfo me basi khusbu aankho me haya aayi

julfo me basi khusbu aankho me haya aayi

aayina jaha dekha kahne lagi angadayi

mahbub se milna hai kuch or sawar dekho

sau bar kaha dil ne ek bar idhar dekho

jadu sa jagaya hai ghunghru ki sadao ne

jadu sa jagaya hai ghunghru ki sadao ne

madhosh kiya sab aachal ki hawao ne

lahrane lagi mahfil nagamo ka asar dekho

sau bar kaha dil ne ek bar idhar dekho

is dil me tamanna hai jan tum pe lutane ki

is dil me tamanna hai jan tum pe lutane ki

kimat hai bahut apni najro me jamane ki

bemaut hi lut jaye tum ek bar haskar dekho

sau bar kaha dil ne ek bar idhar dekho

tum humko mohabbat se tum humko mohabbat se 

bas ek najar dekho ek bar idhar dekho

Explore this song