Roman script

wafa ke deep jalaye hue nigaho me

bhatak rahi ho bhala kyo udas raho me

tumhe khyal hai tum mujhse door ho lekin

main samne hu chali aao meri dhun me

sau bar janam lege

sau bar fana hoge

ai jaane wafa phir bhi

ham tum naa juda honge

sau bar janam lege

sau bar fana hoge

kismat hame milane se

rokegi bhala kab tak

inn pyar ki raho me

bhatakegi wafa kab tak

kadamo ke nisha khud hi manjil ka pata hoge

sau bar janam lege

sau bar fana hoge

ye kaisi udasi hai

jo husn pe chha ayi hai

ham dur nahi tumse

kahane ko judayi hai

arman bhare do dil phir ek jagah honge

sau bar janam lege

sau bar fana hoge

ai jaane wafa phir bhi

ham tum naa juda honge

sau bar janam lege

sau bar fana hoge

lyrics typed by:ruby singh

Explore this song