Roman script

sarkati jaaye hai rukh se 

naqaab aahista aahista 

nikalata aa raha hai 

aaftaab aahista aahista 

jawan hone lage jab vo to 

ham se kar liya parda

haya yakalakht aayi 

aur shabab aahista aahista 

shabefurkat kaa jaaga hu 

farishto ab to sone do 

kabhi fursat me kar lena 

hisaab aahista aahista 

savaalevasl par unko 

udu ka khauf hai itna

dabe hontho se dete hai 

javaab aahistaa aahistaa 

hamare aur tumhare pyar me 

bas fark hai itna 

idhar to jaldi jaldi hai 

udhar aahista aahista 

vo bedardi se sar kaate ameer 

aur main kahu unse 

huzuur aahista aahista

janaab ahista ahista

Explore this song