Roman script

sapne hai sapne, kab huye apne

aankh khuli aur tut gaye

sapne hai sapne kab huye apne

aankh khuli aur tut gaye

andhiyare ke the ye moti

bhor bhayi aur phut gaye

sapne hai sapne kab hue apne

bhor ki dori se bandhi hai

jane kisne raat ki choli

bhor ki dori se bandhi hai

jane kisne raat ki choli

jiwan ke aangan mein dukh sukh

nis din khele aankh micholi

nis din khele aankh micholi

sapne hai sapne kab hue apne

aankh khuli aur tut gaye

sapne hai sapne kab huye apne

din duba to sham hasegi

sham gayi to raat hasegi

din duba to sham hasegi

sham gayi to raat hasegi

rok le aankh se bahta aansu

bah nikla barsat hasegi

bah nikla barsat hasegi

sapne hai sapne kab huye apne

aankh khuli aur tut gaye

andhiyare ke the ye moti

bhor bhayi aur phut gaye

sapne hai sapne kab hue apne

Explore this song