Roman script

sapna aaya aadhi raat 

baithi thi saajan ke sath 

sapna aaya aadhi raat 

baithi thi saajan ke sath 

unhone liya hath me hath 

fir jaane kya hona tha 

par aankh khul gayi 

fir jaane kya hona tha 

par aankh khul gayi

sapna aaya aadhi raat 

baithi thi saajan ke sath 

pahle to piya ne mujhe kiya tha ishara 

pahle to piya ne mujhe kiya tha ishara 

paas me bitha ke samjhaya bhed sara 

idhar se unke bhi zazbaat 

udhar se apne bhi halaat 

sej par gaye sath hi sath 

fir jaane kya hona tha 

par aankh khul gayi 

fir jaane kya hona tha 

par aankh khul gayi

sapna aaya aadhi raat 

baithi thi saajan ke paas 

unki nazariya bhi jane kaisi kasi thi 

unki nazariya bhi jane kaisi kasi thi 

mere man me bhi kuch baat aisi waisi thi 

aa gaye dheere dheere paas 

saans se milne lag gayi saans 

jaagi madhur milan ki pyaas 

fir jaane kya hona tha 

par aankh khul gayi 

fir jaane kya hona tha 

par aankh khul gayi

sapna aaya aadhi raat 

baithi thi saajan ke saath 

fir jaane kya hona tha 

par aankh khul gayi

sapna aaya aadhi raat 

baithi thi saajan ke saath

Explore this song