Roman script

sandesh mera

sandesh mera pake mujhe darsh dikhana

pritam meri aashao ka deepak na bujhana

sandesh mera pake mujhe darsh dikhana

pritam meri aashao ka deepak na bujhana

jab tum hi nahi paas to suna hai ye jivan

jab tum hi nahi paas to suna hai ye jivan

birha ki ye agni na kahi funk de tan man

sapno ka mahal

sapno ka mahal tutta hai aake bachana

pritam meri aashao ka deepak na bujhana

milti hai gale chandani se raat ki bela

milti hai gale chandani se raat ki bela

hai chand ki godi me sitaro ka jamela

lut jaye na

lut jaye na aise me mera swapn suhana

pritam meri aashao ka deepak na bhujana

tum devta mere ho main charno ki daasi

tum devta mere ho main charno ki daasi

ye banwari ankhiya hai piya roop ki pyasi

chanda ki kiran

chanda ki kiran banke jhalak apni dikhana

pritam meri aashao ka deepak na bhujana

naino me tere swapna hai hotho pe tere geet

naino me tere sawpna hai hotho pe tere geet

hriday me teri yaad hai, har saans tera mel

asuvan ke diye

asuvan ke diye palko pe apne na jalana

pritam meri aashao ka deepak na bhujana

sandesh mera pake mujhe darsh dikhana

pritam meri aashao ka deepak na bhujana

Explore this song