Roman script

idhar sarhad pe bahta hai lahu apne jawano ko

udhar dube hue hai hum 

sharabo or jamo me

na samhalo ge to mit jaoge

aye hindusta walo 

tumhari dasta tak bhi na hogi dastano me

sambhalo aye watan walo watan apna sambhalo

sambhalo aye watan walo watan apna sambhalo

jis watan ke waste kaho ne apni jan di

jan di jane nahi aan hindustan ki

kahani un sahido ki

kahani un sahido ki na bhulo hind walo

janjiro me bandhi hui thi 

sadiyo se bharat mata

inhe todne wala pahla bhaghi mangal pandey tha

chin ke bpla kartus wo apne foji bhaiyo se

gaw or suwar ki charbi todo na apne danto se

karwai mangal ne bagawat

karwai mangal ne bagawat

nam dharam ka le le kar

charo or jwala bhadki satawan ka hua gadar

charo or jwala bhadki satawan ka hua gadar

satawan ka hua gadar

badha pakadne ne yu santo 

mangal ne nishana bana diya

pal me videshi hakim mitti me usne mila diya

gore sahi ke sine pe chali ye pahli goli thi

karke sar uncha bharat ma 

mangal ki jai boli thi

mangal pandey ki jai

haidar ali ne jade hila di angreji sarkar ki

gunj rahi jhankara abhi tak tipu ki talwar ki

peshwa ji ne kamal chapati se kranti sandesh diya

fasi chad kar tatya tope ne jiwan balidan kiya

nana farnavish ne aakhir dam tak har nahi mani

ladte ladte amar hui mardani jhasi ki rani

mardani jhasi ki rani

kate hath se lade kurar singh

har gayi gori sarkar

aaj bhi gaurav se leta hai 

us yodhya ka nam bihar

bahadur shah jafar ne di teeno beto ki kurbani

maut aayi rangun me to bole aankho me bhar pani

kitna hai badnasib jafar

dafan ke liye do gaj jamin bhi na mili 

kuwe yar me

ludhiyane ke guru ram singh 

jinka rahega nam amar

atharah so chobish me wo 

janme the is dharti par

angrejo se ladne chale maler kotla inke jawan

goro ki topo ke muh me chali gayi kitno ki jan

ram singh ko gali di

ram singh ko gali di

jab tek wahan kamishnar ne

pakad liye tab kesh uchal kar

ek nanhe se balak ne

ek nanhe se balak ne

choda na jo chudane pe to kat diya balak ke hath

gir pada tadap kara nanha balak 

chut gaya prano ka sath

idhar ram singh ho gaye bandhi

or barma ki jel gaye

desh ki azadi ke liye ye kahte jan pe khel gaye

vande matram

jab bhi bol vande matram yad karo tum bankim ko

jis bangali desh bhakt ne amar gan diya hamko

rastariya geet jan gan man ke maha kavi ko karo parnam 

bhulega na desh kabhi ravindar nath taigor ka nam

vasudev balwant fadke karte the nokri sarkari

mili na chuti inko jab mar gayi inki mata pyari

ye partigya usi samay ki ke kesh nahi katwaunga

angreji sarkar ko jab tak desh se nahi hataunga

leke jawano ki ek toli leke jawano ki ek toli

tut pade angrejo pe

fuk diye sarkari adalat hath na aaye goro ke

hath na aaye goro ke

ek din jab bimar pade the mejor daniyal aa pahucha

dhokhe se is veer purush ko aakhir usne pakad liya

hui saja kale pani ki par wo jail se hue farah

dobara jab pakde gaye to hue shahid tyag sansar

wo tha sham kishan ji warma kanch ka sabse pyara lal

jisne jalayi lodon me kranti ki pahli bar masal

virendar nath ne lonon me kar di goro ki nind haram

parithwi singh ne raj ulatne me paya tha uncha nam

hardayal ne desh videsh me kranti jwala bhadkari

pandit kashiram ne bhi karanti ke liye fasi payi

barkat ulla ne kayam gadar party ki ki buniyad

rakhta hai mehendar partap ko 

kabul barlin ab tak yad

gadar party ke leader the

gadar party ke leader the

baba sohan singh bakhna

sohan lal pathak chad fansi luta gaye jiwan apna

luta gaye jiwan apna

kartar singh saraba aaye 

chhod videsh ko apne desh

goro ki chhawni me pahuche dene kranti ka sandesh

goro ko thi sabhi khabar fir bhi na ruka ye diwana

hatho me hathkadi lagi thi par kahta tha mastana

dev desh di jindadi badi okhi galla karni ya desh kaliya we

jina is sewa wich pair paya jina is sewa wich pair paya

unna lakh musibata chaliya

fasi ka fanda chuma tha veer maratha pingle ne

dakshin me sawdesh andolan suru

kiya chidambaram pille ne

jhansi ke parmandan ji lahor ke parmanand bhai

jinhone amrika tak kranti ki aawaz thi pahuchai

nam tha madam kama hi us hindustan ki beti ka

lahraya jag me jisne pahla jhanda azadi ka

ram rakha ne kiya tha anshan andeman ki jail me

khel gaya wo jan ki baji azadi ke khel me

dhanya hai ratnagiri jaha bal tilak ne janam liya

swaraj hamara janam siddh adhikar hai ye paigam diya

adhikar hai ye paigam diya

patar keshri se or maratha se janta ko jagane lage

apne kalam ke jor se wo sansad ki neew hilane lage

shiv jayanti ganpati utsaw maharashtr me shuru kiya

dharam ke sang azadi ka bhi ghar ghar me sandesh diya

dada bhai nauroji ka rastra pitamah kahta desh

bana ke national kangres swarajya ka diya parthan sandesh

wo matwala vipin chandar bangal ka tha rahne wala

bhadkayi thi jisne jan jan me azadi ki jwala

rakhna yad kishan singh ko jo bhagat sinkh ke pita mahan

desh azad karane me kam nahi hai inka bhi balidan

kam nahi hai inka bhi balidan

jitne veer ajit singh the swaran singh utne hi daler

bhagat singh ke dono chacha kahlate punjab ke sher

diya muradabad ki dharti ne sufi amba parsad

kahte hath se bhi jo yoddha lada tha angrejo ke sath

yad karo aye logo ja fakar bandhuo ki kurbani

jinhone atyachari rand ko mar mitane ki thani

jashan mankar mallka jaha rang aa raha tha sare aam

damodar or bal kishan chup kar ja pahuche usi makam

damodar or balkishan chad baithe foran gadi pe

teris ko mara balkishan ne mara rang damodar ne

gore afsar pakad na payegore afsar pakad na paye

dono bhai hue farar mukhbar bana ganesh daravid

ho gaya damodar giraftar mukhbar bana ganesh daravid

ho gaya damodar giraftar ho gaya damodar giraftar

tilak se gita mangwa kar fasi par chad gaye damodar

duje bhai bal kishan ka bhi ye ant hua aakhir

tije bhai vasudev ne mukhbar ganesh ko ja mara

maut ka badla maut se lekar ho gaya maut ko pyara

kasam aise sahido ki kasam aise sahido ke 

tumhe aye desh walo tumhe aye desh walo

sambhalo aye watan walo watan apna sambhalo

sambhalo aye watan walo watan apna sambhalo

Explore this song