Roman script

sambhalo aye watan walo

sambhalo aye watan walo

sambhalo aye watan walo

watan apna sambhalo

sambhalo aye watan walo

watan apna sambhalo

jis watan ke waste lakho ne apni jan di

jan di jane nahi di aan hindustan ki

kahani un shahido ki

kahani un shahido ki

na bhulo hindwalo

hindwalo are o hindwalo

maharashtar ka nasik hai

sawarkar ji ka janam shathan

abhinav bharat kranti shabha me

dakhil kiye the veer jawan

rani jhasi mangal pandey

kuwar singh ki katha mahan

jab london me jake sunai

tadap utha tab madan jawan

ik jasus tha angrejo ka

karjam velly jiska nam

madan dhigra pahucha waha par

karne uska kam tamam

le gayi hukumat kisi jurm me

sawarkar ko baghi man

lekin kud gaye sagar me

leke hatheli pe wo jan

andeman ki jail me bhi

gardan na unki kabhi jhuki

thi aazad aawaz unki

or ye aawaz na kabhi ruki

jayo stute jayo stute 

shari mahan mangle shivash pate

swtantarte bhaktitwa maham

yasomyutam vandem

yasomyutam vandem vandem vandem

ganesh sawarkar ko mili jab

jection se sakht saja

anant kanehre marke jection ko

fasi pe jhul gaya

aazadi or dharam ka jiski

rag rag me bharpur tha josh

bharat kya sari dunia me

chamke the arvind gosh

virendar gosh arvind gosh ka

chota bhai pyara tha

aazadi ke liye jiya

or isi pe tan man wara tha

vinay bosh pistol agar tha

vinay bosh pistol agar tha

to badal uski goli

dinesh gupta ke sang khele

simsan ke khun se holi

simsan ke khun se holi

gunj raha madrash me ab tak

ghar ghar kat bamman ka nam

khil gaya angreji shashan

cheda usne aisa sangram

jis judge ne ilzam lagaya

use adalat me mara

fansi ke antim din bhi

gata raha dakshin ka tara

makke me ek diya jala

jo kar gaya roshan hidustam

abbul kalam aazad tha wo

hindu muslim dono ki jan

master da ne chit gaw se

britain ka jhanda hata diya

preet lata ne goli se

goro ki club ko uda diya

jinko sab kahte neta ji

katak me unka hua janam

ranga tha kranti ke rang me

bachpan se hi unka man

nara diya jai hind ka

or har dil me ek jwala bhar di

bole tum do khun mujhe

mai tumko dunga aazadi

kaap uthi gore sahi

kaap uthi gore sahi

or ghar me unko kaid kiya

lekin bhesh badal wo nikle

singapur vishram kiya

singapur vishram kiya

le aazad hind sena

bharat aazad karane ko

tut pade goro pe wo

angreji raj mitane ko

shyama parshad mukharji ko bhi

bhulega na hindustan

aazadi ki khatir ladta raha

sada ye purush mahan

durga bhabhi ne bhi

aazadi me pura sath diya

bhakat singh ki sath ban

lahaur se unhe farar kiya

sita ram raju ne rakhi

aandhar pardesh ki unchi shan

bar bar goro pe chapa mara

aakhir de di jan

bhagwati charan mohra ka sunlo

bada anokha hai balidan

bam ki pariksha karte karte

dedi unhone apni jan

nalni bagchi bhi aasam me

agrejo se dat kar lada

gopi nath bhi dekho mar ke

haste hue fasi pe chada

manmath nath gupt laye the

toli pe aazad ko

aazadi ke matwale 

jiwit hai desh hit aaj bhi wo

dakshin bharat ke neta

ana durai bade mahan

aaj bhi inko tamilnadu ki

janta puje dev saman

khatam videshi raj ho

inki ye aawaz buland rahi

chain liya na jab tak

bharat maa janjir me band rahi

aazad hua bharat apna

inka sapna sakar hua

mukhya mantri ke pad ka

janta ne inhe adhikar diya

janta ne inhe adhikar diya

desh ki sewa kiye janam bhar

sewa me hi de diye pran

tamilnad hi kya yad inko

karta sara hindustan

doctor ambedkar ne racha

swatantar bharat ka vidhan

chut chat ka bhed mitakar

kiya harijano ka utthan

tripur kumaran ko rakhega

yad hamesha tamilnadu

jhanda lehrate hue lathi kha kar

diye the pran tyag

komi shayar bismil tha

aazadi ka ek diwana

nikla veer sahja pur se

pahne keshariya bana

kakori me jake usne

sahi khazana lut liya

lut ke mal se le banduke

dal fauladi bana diya

gore hakim lage dhundhne

jagah jagah pe bismil ko

aakhir ek din pakad liye wo

is sailani badal ko

is sailani badal ko

jail me band rahkar bhi

likhte rahe wo kranti ki bani

dhanya hai aise desh bhakt

or dhanay hai unki kurbani

milne aayi maa to boli

dudh ki tune rakh li laz

gate hue chal diye bismil

pahan sahdat wala taz

sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai

sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai

dekhna hai jor kitna bajue katil me hai

dekhna hai jor kitna bajue katil me hai

sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai

sarfaroshi ki tamanna 

yahi to marke jina hai

yahi to marke jina hai

watan apna sambhalo

sambhalo aye watan walo

watan apna sambhalo

sambhalo aye watan walo

watan apna sambhalo

lyrics typed by : sushma deshwal

Explore this song