Roman script

dil deewaana zara thahar jaana

sambhal to le dil diwaana zara thahar jaana 

sambhal to le dil diwaana zara thahar jaana 

abhi na samne aaana zara thahar jaana

sambhal to le

mai guzari umr ko vapas zara pukar to lun

mai apne aap ko thoda bahut sawar to lun

libas gam ka nigaho se mai utar to lun

sama to ho le suhaana zara thahar jaana

abhi na samne aana zara thahar jaana

sambhal to le

khushi bhi itni achaanak mai sah na paungi

mai apne aap me bas aaj rah na paungi

jo tum se kahna hai mujhko wo kah na paungi

mai yad kar lun fasaana zara thahar jaana

abhi na samne aana zara thahar jaana

sambhal to le

satane wale tumhe mai bhi thoda tadpau 

talash karte phiro tum mujhe mai chup jau 

hazar kehne pe bhi samne na mai aau 

zamane ko ye bahaana zara thahar jaana 

abhi na samne aana zara thahar jaana 

sambhal to le dil diwaana zara thahar jaana 

sambhal to le dil diwaana zara thahar jaana

Explore this song