Roman script

shri ramchandar kripalu bhjuman
haran bhav bhay tarunam
nav kanjlochan kanj mukh
kar kanjpad kanjarunam
sajni tere bin na kabhi rahna
sajni tere bin na kabhi rahna
sajna tu mere tan ka gahna gahna
sajni tere bin na kabhi rahna
teri khushbu churake 
man ka madhuban khila hai
teri saanso ko chhuke 
mujhko jivan mila hai
teri palko ki chhanv me
mere sapno ka ghar hai
tere rang me rangi hai
ye jo meri chunar hai
ye jo meri chunar hai
kangna preet ka maine pahna
sajni tere bin na kabhi rahna rahna
sajna tu mere tan ka gahna
sath phere laga ke bandh gaye 
hum vachan se
apna rishta wahi hai
dharti ka jo gagan se
main rijhaungi har ghadi
tujhko solha singar se
ruth jayegi tu agar
main mana lunga pyar se
main mana lunga pyar se
sun ri manunga main tera kahna
sajna tu mere tan ka gahna gahna
sajni tere bin na kabhi rahna

Song details

singer: Sadhna Sargam, Suresh Wadkar