Roman script

mit jogi banke o gori 

aaya hai ab tere dware 

do bol apne saiya ke sun le 

khul jayenge bhed sare

saiya se nazre mila le gori

saiya se nazre mila le 

manwa ki batiya kaahe tu chhupaye ri

manwa ki batiya kaahe tu chhupaye ri

saiya se nazre mila le gori

saiya se nazre mila le 

palko tale hai chamkile sapne

sapno me ratiya suhani

aanchal ka palu chutki me daabe

kaahe ko dole diwani

mukhde se ghunghat hata le, hata le

saiya se nazre mila le gori

saiya se nazre mila le 

ye preet kya hai, ye reet kya hai

tune abhi tak na jana

ek man ki, duje man ko khabar hai 

tohe na aaya nibhana

bujhte diye ko jala le, jala le gori

saiya se nazre mila le gori

saiya se nazre mila le 

harday ki dhadkan, chahat ki uljhan

chhupti nahi hai chhupaye

darpan ke aage kya soche pagli 

kahe ko ankhiya churaye

ruthe jiya ko mana le, mana le gori 

saiya se nazre mila le gori

saiya se nazre mila le 

manwa ki batiya kaahe tu chhupaye ri

manwa ki batiya kaahe tu chhupaye ri

saiya se nazre mila le gori

saiya se nazre mila le

Explore this song