Roman script

tu jahan se dekhta hai

main galat hoon tu sahi

dekh meri nazron se

galat mein kuchh galat nahi

karna hai jo karke hi

rahunga maine tai kiya

galat ko bhi sahi tarah se

karne ka nishchay kiya

lagta hai tujhe ke

jurm ka hoon zimmedar main

jab saboot hi nahi toh

kaise gunehgaar main

poore hosh aur hawaas mein

kiya jo hai kiya

galat ko hi sahi tarah se

karne ka nishchay kiya

teer ki tarah chala ke

apne har upay ko

mere har kadam ke aade

aane wale nyay ko

saam daam dand bhed se bhi

maine tai kiya

galat ko bhi sahi tarah se

karne ka nishchay kiya

samajhna khud ko mujhse tez

teri bhool hai

siyaar jaisi hoshiyari

yeh fizool hai

tera khayal

thekedar hai tu waqt ka

badal ke rehta hai

yeh waqt ka asool hai

harkaton par kab talak

meri nazar rakhega tu

karte karte pehredaari

ek din thakega tu

main magar nahi thakunga

faisla yeh hai kiya

galat ko bhi sahi tarah se

karne ka nishchay kiya.

Explore this song