Roman script

ab na mujhko yaad beeta main toh lamhon mein jeeta

chala ja raha hoon main kahaan pe ja raha hoon

kahaan hoon iss yaqeen se main yahan hoon

ki zamana yeh bhala hai aur jo raah mein mila hai

thodi door jo chala hai woh bhi aadmi bhala tha

pata tha

zara bas khafa tha

woh bhatka sa raahi mere gaanv ka hi

woh rasta puraana jisey yaad aana

zaroori tha lekin jo roya mere bin

wo ek mera ghar tha

puraana sa darr tha

magar ab na main apne ghar ka raha

safar ka hi tha main safar ka raha

idhar ka hi hoon na udhar ka raha

safar ka hi tha main safar ka raha 

main raha main raha main raha

neel patthron se meri dosti hai

chaal meri kya hai raah jaanti hai

jaane rozana… zamana wohi rozana

shehar shehar fursaton ko bechta hoon

khaali haath jaata khaali laut’ta hoon

aise rozana rozana khud se begana

jabse gaanv se main shehar hua

itna kadva ho gaya ki zehar hua

main toh rozana

na chaaha tha yeh ho jaana maine

ye umrr, waqt, raasta.. guzarta raha

safar ka hi tha main safar ka raha

idhar ka hi hoon na udhar ka raha

safar ka hi tha main safar ka raha 

main raha. oo main raha wo

main raha safar ka hi tha main safar ka raha

Explore this song