Roman script

sawan ke suhane mausam mein ek bar naar mili badal jaisi

maathe pe sitaaro ki jagmag bangaal ka jadu balon mein

ghoto pe tabasum phulon la kashmir ki rangat gaalo mein 

bijali jo humare dil pe giri un aankhon mein thi kajal jaisi

un aankhon mein thi kajal jaisi

mahfil mein jidhar wo aaye najar har aankh udhar ho jati hain 

wo jab aaye wo jab jaye logo ko khabar ho jati hain 

wo jab bhi nikalti hain ghar se baj uthti hain payal jaisi 

ek naar mili badal jaisi 

sawan ke suhane mausam mein ek bar naar mili badal jaisi

ye jhuki hui rangeen palke ye chehre ka sharmilapan 

laya hain bana ke usko dulhan ye joban ye albelapan

dekho to wo sar se paanw talak lagti hain taaj mahal jaisi 

ek naar mili badal jaisi 

sawan ke suhane mausam mein ek bar naar mili badal jaisi

har jajba share mein dhal jaye har baat kavita ho jaye 

jo dekhe use wo kho jaye jo mile wo shayar ho jaye 

andaaz hain usmein geeton sa aawaz hain uski gazal jaisi

ek naar mili badal jaisi 

sawan ke suhane mausam mein ek bar naar mili badal jaisi

maathe pe sitaaro ki jagmag bangaal ka jadu balon mein

ghoto pe tabasum phulon la kashmir ki rangat gaalo mein 

bijali jo humare dil pe giri un aankhon mein thi kajal jaisi

un aankhon mein thi kajal jaisi

sawan ke suhane mausam mein ek bar naar mili badal jaisi

Explore this song