Roman script

saanso ko jeene ka ishaara mil gaya

duba main tujhme to kinara mil gaya

saanso ko jeene ka ishara mil gaya

zindagi ka pata dobara mil gaya

tu mila to khuda ka sahaara mil gaya

tu mila to khuda ka sahaara mil gaya

gumzada gumzada dil ye tha gumzada

bin tere, bin tere, dil ye tha gumzada

aaram de tu mujhe, barso ka hu main thaka

palko pe raate liye tere vaaste main jaga

aaram de tu mujhe, barso ka hu main thaka

palko pe raate liye tere vaaste main jaga

mere har dard ki gehraai ko mehsus karta hai tu

teri aankho se gham tera mujhe maalum hone laga

tu mila to khuda ka sahaara mil gaya

tu mila to khuda ka sahaara mil gaya

main raaz tujhse kahu humraz ban ja zara

karni hai kuch guftgu alfaaz ban ja zara 

main raaz tujhse kahu humraz ban ja zara

karni hai kuch guftgu alfaaz ban ja zara 

juda jab se hua tere bina khamosh rehta hu main

labon ke paas aa ab tu meri aavaaz ban ja zara

tu mila to khuda ka sahara mil gaya

tu mila to khuda ka sahara mil gaya

gumzada gumzada dil ye tha gumzada

bin tere, bin tere, dil ye tha gumzada

Explore this song