Roman script

main zara sa sarfira, raaho pe nidar chala

rag rag mein khola sa gussa hai mera

mutthi mein bheencha sa mukka hai mera

saala khadoos bole mujhe toh kya hua wo

saala khadoos bole mujhe toh kya hua wo

gussa mera gussa mujhe chalna sikhaaye

fitoor ye fitoor mujhe raah dikhaaye

duniya ki reet mujhe samajh na aaye

jaaunga bekhauf jaha raahe leke jaaye

mujhko sharam kaisi nanga hoon main

chaahe akela hoon, changa hoon main

saala khadoos bole mujhe toh kya hua wo

saala khadoos bole mujhe toh kya hua wo

jhoot ye fareb jab mere aade aaye

zubaan meri zubaan gaaliyan yahi barsaaye

sanak ye chaahe koi samajh na paaye

parwah hai kise jiyu sar ko uthaaye

khud apna hi toh tareeka hoon main

awaara banjara lukkha hoon main

saala khadoos bole mujhe toh kya hua wo

saala khadoos bole mujhe toh kya hua wo

main zara sa sarfira, raaho pe nidar chala

rag rag mein khola sa gussa hai mera

mutthi mein bheencha sa mukka hai mera

saala khadoos bole mujhe toh kya hua wo

saala khadoos bole mujhe toh kya hua wo

Explore this song