Roman script

saahil jo dubo de kashti ko

saahil jo dubo de kashti ko

saahil ki tamanna kaun kare

saahil jo dubo de kashti ko

aaraam na ho jis manzil par 

manzil ki tamanna kaun kare

saahil jo dubo de kashti ko

jab dukh hi dukh ho duniya me 

roto pe hans de mahafil me

duniya se mohabbat kisko ho 

mahafil ki tamanna kaun kare

saahil jo dubo de kashti ko

jab jaal bichha ho gulshan me 

aur kaante uljhe daaman me

us baag ki khwaahish kaun kare 

us gul ki tamanna kaun kare

saahil jo dubo de kashti ko

ummid miti dil toot gaya 

wo samma bujhi wo dil na raha

tute huye dil se hansti hui 

mahafil ki tamanna kaun kare

saahil jo dubo de kashti ko

saahil ki tamanna kaun kare

saahil jo dubo de kashti ko

Explore this song