Roman script

sahil jo dubo de kashti ko

sahil jo dubo de kashti ko

sahil ki tamanna kaun kare

sahil jo dubo de kashti ko

aaram na ho jis manzil par

manzil ki tamanna kaun kare

sahil jo dubo de kashti ko

jab dukh hi dukh ho duniya me

roto pe hans de mehfil me

duniya me mohabbat kisko ho

mehfil ki tamanna kaun kare

sahil jo dubo de kashti ko

jab jaal bichha ho gulshan me

aur kaante uljhe daman me

us baag ki khwahish kaun kare

us gul ki tamanna kaun kare

sahil jo dubo de kashti ko

ummed miti dil tut gaya

wo shama bujhi wo dil na raha

tute huye dil se hansti huyi

mehfil ki tamanna kaun kare

sahil jo dubo de kashti ko

sahil ki tamanna kaun kare

sahil jo dubo de kashti ko

Explore this song