Roman script

roshan har dil huwa har dil ko khushiya mil gayi

khoyi thi abb tak jo duniya woh duniya mil gayi

gulshan har dil bana har dil mein kaliya khil gayi

khoyi thi abb tak jo duniya woh duniya mil gayi

har lamha keh raha hai kya abb tu sochta hai

ja jile yeh jindagi

teri aankhon mein kal jo kacche se khwaab the

palkon pe saj rahe the jo kal ke waaste

tujhko gar ab mil jaaye tukde wo khwaab ke

unko saja tu phir se aankhon mein pyaar se

dil jab khushi se jina chahta hai

ab wo din ab wo pal aaya hai

raahon mein phul hai bikhre hue har kahi

har dil hai aashana aashana har jindagi

roshan har dil hua har dil ko khushiya mil gayi

khoyi thi abb tak jo duniya woh duniya mil gayi

guzre na jindagi yeh ab bina pyaar ke

jine ki yeh wajah hai itna tu jaan le

khushiya jo de tujhko tu wo daaman thaam le

uske saaye mein ji le jo dil se pyaar de

gum jab hansi mein khona chahta hai

ab wo din ab wo pal aaya hai

duniya jo dur thi kadmon pe sajda kar gayi

lagta hai jindagi ko jindagi abb mil gayi

roshan har dil huwa har dil ko khushiya mil gayi

khoyi thi ab tak jo duniya wo duniya mil gayi

har lamha keh raha hai kya ab tu sochta hai

ja ji le yeh jindagi

Explore this song