Roman script

alka, please apne aap ko surrender kar do

police force ne tumhe charo ore se gher liya hai

ha ha ha surrender

zehreli taranum ka hissa hai

ye shehar-e-jahannum ka Kissa hai

yaha bandUko ke paas bhasha hai

mohabbat ka khooni tamasha hai

iss bhasad me ek thi rani

barudon ka wo pi ke paani

pattharo ke paalne me paida hui wo nashtari

revolver rani ki thaayn thaayn thaayn

hai jungli jawaani ki thaayn thaayn thaayn

revolver rani ki thaayn thaayn thaayn

hai jungli jawaani ki thaayn thaayn thaayn

thaane se report aa gayi hai sir 

chhati ghati ki firing ke 

piche alka ka hi hath tha

oh damn it! alka alka alka

ye chiz kya hai alka

uske khilono me khanjar tha kenchi thi

uski hatheli pe chhaala tha

uske gharati bhi bichhu the bili thi

usko sayyaro ne paala tha

aayi jawaani to wo janaani

kheli thi apno ke khun se junoon se

jungle ko jita mutthi me bhincha

uske phir aage na ji saki sukoon se

phir kisse me jo mod aaya

dil churaane jo chor aaya

wo tha gudda aankh neeli zehreeli surat liye

kari us kamine ne thaayn thaayn thaayn

mohabbat ke sine me thaayn thaayn thaayn

revolver rani ki thaayn thaayn thaayn

hai jungli jawaani ki thaayn thaayn thaayn

wo khooni daldal ke manzar me rehti thi

par uske sapne salone thhe

uski haveli me jhumar thhe nokar the

kaanto ke lekin bichhu bhi thhe

kaante nikaale hanske uchhaale

gham ke samandar ko pi gayi majaak me

uski mohabbat thi aisi hadd tak

jaise jita ho ishq inquilab me

aasmaan bhi dehal ke roya

bijliyo me machal ke roya

maut jis din gungunayi saanso me uski suno

ye uski kahaani hai thaayn thaayn thaayn

ye sabko zabaani hai thaayn thaayn thaayn

revolver rani ki thaayn thaayn thaayn

hai jungli jawaani ki thaayn thaayn thaayn

bad news hai sir

hum alka ko nahi pakad paaye

mujhe maaloom tha, damn it

Explore this song