Roman script

resam ki dori, resam ki dori

kaha jaiho nindiya chura ke chori-chori

resam ki dori hoye resam ki dori

ho kaha jaiho nindiya chura ke chori-chori

ye resam ki dori haye resam ki dori

kaha jaungi mai tu hai chanda mai chakori

pipal ki chhaiya ho pipal ki chhaiya

teri-meri ek jindadi o mere saiya

pipal ki chhaiya ho pipal ki chhaiya

ho chhod u mai jamana, mai na chhod u teri baiya

pipal ki chhaiya ho pipal ki chhaiya

imli ke bute ho imli ke bute

kal kyu na aaye mai na bolu jao juthe

kal kyu na aaye mai na bolu jao juthe

bada maja aaye mai manau or tu ruthe, or tu ruthe

kothe pe aari ho kothe pe aari

tere nam kar du jiya le aa patwari

kaisa patwari ho kaisa patwari

ye tu mera mai teri ye to jane dunia sari

kaisa patwari ho kaisa patwari

parwat pe jharna ho parwat pe jharna

koi sun lega chupke-chupke bate karna

koi sun lega chupke-chupke bate karna

pyar kiya to badnami se kya darna, kya darna

kurta malmal ka ho kurta malmal ka

aaj to jati hu mai le-le wada kal ka

kurta malmal ka haay kurta malmal ka

kal ka bharosha kya bharosha nahi pal ka

kurta malmal ka haay kurta malmal ka

ambar pe tare haye ambar pe tare

jine nahi denge tere naina kajrare

jine nahi denge tere naina kajrare

jina ho jise wo aaye kyu pritam ke dware, pritam ke dware

ki misri ki daliya haay misri ki daliya

pyar me kaate hai jyada thodi kaliya

misri ki daliya ho misri ki daliya

ho kaate ho ya kaliya pi ki galiya, pi ki galiya

Explore this song