Roman script

rat aati hai chali jati hai, harjayi hai

phir mere ghar me dabe paav chali aayi hai

sham hote hi jala deti hai palko pe diye 

rat se puchhe koi kiske liye kiske liye
koi ahat bhi nahi aur koi aata bhi nahi
raks karati hai jo shab bhar meri tanhai hai 
raks karati hai jo shab bhar meri tanhai hai 
rat aati hai chali jati hai, harjayi hai
rat se puchhe koi kiski kahani hogi
rat se puchhe koi kiski kahani hogi
jakhm bharte hi nahi, chot purani hogi
dard sine me chhupa rakha hai shayad koi
koi jewar hai kisi gum kaa chura layi hai
rat aati hai chali jati hai, harjayi hai
phir mere ghar me dabe paav chali aayi hai
rat aati hai chali jati hai, harjayi hai
lyrics typed by : ruchita parab

Song details

Song video

Watch on YouTube