Roman script

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa 
ranjish hi sahi
aa phir se mujhe chhod ke jane ke liye aa 
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa 
ranjish hi sahi
pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to 

rasm-o-rah duniya hi nibhane ke liye aa 
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa 
ranjish hi sahi
kis kis ko batayenge judai ka sabab hum 
kis kis ko batayenge judai ka sabab hum 
tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa 
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa 
ranjish hi sahi
ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummede

ye aakhiri shamme bhi bujhane ke liye aa 
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa 
ranjish hi sahi

Song details

Song video

Watch on YouTube