Roman script

raj kapoor si nili aankhe devanand ki chal

dharmendar ka mardanapan or dilip ke bal

sanjay sa chail chabila shashi sa sharmila

or manoj sa bhola bhala shammi sa rangila 

shokh ho wo rajindar jaisa or sunil sa baka

jisme itne gun ho sakhi ri jod usi se taka

na bangla na motar mangu na kapda na gahna

aisa shohar mil jaye to kismat ka kya kahna

kamar helan ki aanhke padmini ki gal vimi ke 

ada asha ki shokhi sadhna ki bal simi ke

nutan ka kad sharmila ki angdai

babita ki jawani or nanda ki si rahnai

vahida ki tabasum or lina ki si masti

ada me naaz me nahkre me hema malini jaisi

najar jise dekhke sharmsaar ho jaye

agar biwi mile aisi to beda par ho jaye

na wo bangle ka malik ho na motar car rakhta ho

na chokidar rakhta ho na khidmat gar rakhta ho 

magar rahkta ho wo johar jo rahkta ho na har koi

watan ka dard or insaniyat se pyar rakhta ho

na wo bangle ka malik ho subhash jaisa bahadur or

bagat singh sa dilawar ho watan ki aan par sar 

jo haskar nichawar ho usi ko mai banaungi 

rakh ke jindagi apni dua mangu ke pura ho 

sakhi mera hasi sapna na wo banle ka malik ho

pujari husn ka hu mai na diwana jawani ka

ke ye chize hai aisi bulbula ho jaise pani ka

na bangla chahiye mujhko na motar chahiye mujhko

samjhta hu na mai daulat ko maksad jindgani ka

daya ki murti ho dharm ki taswir ho

aise ke jiske aage sar jhuk jaye har hindustani ka

mujhe patni mile aise jo ye asaf rakhti ho

mujhe patni mile aise jo ye asaf rakhti ho

kaleja chand biwi ka kaleja chand biwi ka 

jigar jhansi ki rani ka pujari husn ka hu mai

na diwana jawani ka

Explore this song