Roman script

rahiye ab aisi jagah chal kar jahaan koi na ho

hamasukhan koi na ho aur hamazabaan koi na ho

rahiye ab aisi jagah

be-dar-o-diwaar kaa ik ghar banaya chahiye 

be-dar-o-diwaar kaa ik ghar banaya chahiye

ko_i hamasaayaa na ho aur paasabaan koi na ho

rahiye ab aisi jagah

padiye gar bimaar to koi na ho timaaradaar 

padiye gar bimaar to koi na ho timaaradaar

aur agar mar jaaiye to nauhakhwaan koi na ho

rahiye ab aisi jagah

Explore this song