Roman script

raaz-e-dil un se chupaya na gaya

raaz-e-dil un se chupaya na gaya

pyar ki aag kuch aisi bhadki

pyar ki aag kuch aisi bhadki

ek shola bhi dabaya na gay

ek shola bhi dabaya na gaya

raaz-e-dil un se chupaya na gaya

pehle pehle to mujhe vo samajh bhi na sake

dil ko tadapate rahe mujhko tarsate rahe

aankh se aankh kai baar mili

aankh se aankh kai baar mili

dil se dil phir bhi milaya na gaya

pyar ki aag kuch aisi bhadki

ek shola bhi dabaya na gaya

raaz-e-dil un se chupaya na gaya

mujhko pehachan ke vo dard-e-dil jaan ke vo

kuch pareshan se hai kuch pasheman se hai

itne sharmaye huye hai humse

itne sharmaye huye hai humse

sar jhukya to uthya na gaya

pyar ki aag kuch aisi bhadki

ek shola bhi dabaya na gaya

raaz-e-dil un se chupaya na gaya

aankh milate hi jhuki baat hotho pe ruki

berukhi pyar bani jeet bhi haar bani

kar gai kaam mohabbat ki nazar 

kar gai kaam mohabbat ki nazar

un se daman bhi bachaya na gaya

pyar ki aag kuch aisi bhadki

pyar ki aag kuch aisi bhadki

ek shola bhi dabaya na gaya

raaz-e-dil un se chupaya na gaya

Explore this song