Roman script

raat andhiyaari maut ki chhaya

maathe pe mandraaye

fir bhi saty ki jyot jale

aandhi me bhi na dagmagaaye

mujhko saahas do he bhagwaan

main hun balak naadan

karam path se hate na kadam

chaahe laakho ho hum pe julam

dusro ke liye hi mitun

chaahe lun main hazaaro janam

mujhko saahas do he bhagwaan

aah bhi na bharun nikle praan

Explore this song