Roman script

pyar ka pehla

pyar ka pehla, ishq ka doosra

aur mohabbat ka tisara

labz adhura hota hai

pyar ka pehla, ishq ka doosra

aur mohabbat ka tisara

labz adhura hota hai

Is liye hum aapko chahate hain

kyun ki chahat ka har

labz pura hota hain

pyar ka pehla

raat ki galiyon mein palko ko

bichha kar kyaa kare 

raat ki galiyon mein palko ko 

bichha kar kyaa kare

ab kisi chehare ko aankhon me 

basa kar kya kare

dil ke aaine mein 

khwabo ko saja kar kya kare

aap na jismein samil ho

wo khwaab adhura hota hai

pyar ka pehla

aaj duniya bhar ki baate

yaad aaye kis liye

aaj duniya bahr ki baate

yaad aaye kis liye

aap mere paas hain

mehfil sajae kis liye

aap jab hain saamne

samme jalaye kis liye

aapka aanchal dhalakte hi 

hi sawera hota hain

pyar ka pehla

aap ka chehara hain ya

ek jagmagati sham hai

aap ka chehara hain ya

ek jagmagati sham hai

aap ka ye zism hai ya

roshani ka jaam hai

zindagi mein hain jo bhi hai 

sab aap hi ke naam hain

aap ki palko ko chhu kar

har sapna pura hota hai

pyar ka pehla ishq ka doosra

aur mohabbat ka tisara

labz adhura hota hai

Is liye hum aapko chahate hain

kyun ki chahat ka har

labz pura hota hai

pyar ka pehla

Explore this song