Roman script

pyar ka paaras paas tumhare 

chhuke mujhe tum kanchan kardo

pyar ka paaras paas tumhare 

chhuke mujhe tum kanchan kardo

registaan hai jeevan mera 

registaan hai jeevan mera 

roop ka isme sawan bhardo

pyar ka paaras paas tumhare 

chhuke mujhe tum kanchan kardo

do moti jo sagar de de 

sagar ka kya ghat jayega

di taare jo ambar de de

ambar ka kya ghat jayega

pyaar ke do pal de kar mujhko

pyaar ke do pal de kar mujhko

jeevan van ko chandan kardo

pyar ka paaras paas tumhare 

chhuke mujhe tum kanchan kardo

maang rahe ho tum do moti

main bin maange sagar de du

do taaron ki baat ye kya hai

main tumhe sara ambar de du

dal do saya apna mujh par

dal do saya apna mujh par

man ko mere darpan kardo

pyar ka paaras paas tumhare 

chhuke mujhe tum kanchan kardo

registaan hai jeevan mera 

roop ka isme sawan bhardo

pyar ka paaras paas tumhare 

chhuke mujhe tum kanchan kardo

Explore this song