Roman script

prem pujaran chali piya ke dwaar

daras ki aas liye

apne man mandir ke dev pe

atal achal vishwaas liye

prem pujaran chali piya ke dwaar

dhund rahi hai pyaasi ankhiyaa

apne man bhavan din ratiyaa

bahut dino se chhupe hue prabhu

anatr ke abhilashi

prem pujaran chali piya ke dwaar

preetam ka mukh dekh hirday me

chhaya harsh aapaar

dekh rahi thi jo sapna vo

swapn hua sakaar

nain diwaane, rup suhaane

man ki anokhi pyaas liye

prem pujaran chali piya ke dwaar

he shivshankar, he gangadhar

yug yug se main tumhari pujaran

puja karo swikaar

dur na rakhna in charno se

yahi mera sansaar

Explore this song