Roman script

prem hai prem hai prem hai prem hai 

piya man ki madhur ik bhawna 

piya man ki madhur ik bhawna

anbujhi pyas me anbujhi pyas me ek dubi hui si kamna

ek dubi hui si kamna prem hai

aao aaj likhe adhro se adhro par hum aise kavita 

besudh apni in sanso me ghul jaye jiski madakata

sagar ki baho me jaise bandhti hai sarita

har ghadi aise hi har ghadi aise hi

apni baho me mujhko bandhana 

piya man ki madhur ik bhawna

aaj parlay ki is bela me mera har adhikar mujhe do

mai na bhulu tum na bhulo aisa kuch uphara mujhe do

tum ye anghuthi meri sajni lo sawikar karo

kam kabhi ho nahi kam kabhi ho nahi preet ki apni aaradhana

piya man ki madhur ik bhawna prem hai prem hai prem hai 

piya man ki madhur ik bhawna anbujhi pyas me

anbujhi pyas me ek dubi hui si kamna

ek dubi hui si kamna prem hai

Explore this song