Roman script

phir se mausam baharo ka aane ko hai

phir se rangi zamana badal jaayega

phir se mausam baharo ka aane ko hai

phir se rangi zamana badal jaayega

abki bazm-e-charago, saja lenge hum

ye bhi armaan dil ka nikal jaayega

aap kar de jo, mujh par nigahe karam 

meri ulfat ka reh jayega kuch bharam

aap kar de jo, mujh par nigahe karam 

meri ulfat ka reh jayega kuch bharam

yu fasana to mera rahega wahi

sirf unwaan uska badal jaayega

fiki fiki si kyu, shaam-e-maikhana hai

lutf-e-saaqi bhi kam, khaali paimana hai

fiki fiki si kyu, shaam-e-maikhana hai

lutf-e-saaqi bhi kam, khaali paimana hai

apni nazro se hi, kuch pila dijiye 

rang mehfil ka khud hi badal jaayega

mere mitne ka unko, zara gam nahi

julf bhi unki ae dost barham nahi

mere mitne ka unko, zara gam nahi

julf bhi unki ae dost barham nahi

apne hone na hone se, hota hai kya

kaam duniya ka, yu hi to chal jaayega

aapne dil jo zahid ka toda to kya

aapne uski duniya ko, chhoda to kya

aapne dil jo zahid ka toda to kya

aapne uski duniya ko, chhoda to kya

aap itne to aakhir, pareshan na ho

wo sambhalte sambhalte, sambhal jayega

phir se mausam baharo ka aane ko hai

phir se rangi zamana badal jaayega

abki bazm-e-charago, saja lenge hum

ye bhi armaan dil ka nikal jaayega

Explore this song