Roman script

phir na kije meri gustakh nigahi ka gila 

dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko 

mai kaha tak na nigaho ko palatne deti 

aap ke dil ne kai baar pukara mujhko 

is kadar pyar se dekho na hamari janib 

dil agar aur machal jaye to mushkil hogi 

tum jaha meri taraf dekh ke ruk jaaoge 

vohi manjil meri taqadir ki manjil hogi 

dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko 

aap ke dil ne kai baar pukara mujhko 

ek yunhi si nazar dil ko jo chhu leti hai 

kitne armaan jagati hai tumhe kya maalum 

ruh bechain hai kadmo se lipatne ke liye 

tumko har saans bulati hai tumhe kya maalum 

dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko 

aap ke dil ne kai baar pukara mujhko 

har nazar aap ki jazbaat ko uksati hai 

mai agar hath pakad lu to khafa mat hona 

meri duniya-e-mohabbat hai tumhare dam se 

meri duniya-e-mohabbat se juda mat hona 

dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko 

aap ke dil ne kai baar pukara mujhko

Explore this song