Roman script

parvardigar-e-aalam tera hi hai sahara

tere siwa jaha me koi nahi humara

parvardigar-e-aalam tera hi hai sahara

tere siwa jaha me koi nahi humara

parvardigar-e-aalam

nuh ka safina tune tufan se bachaya

duniya me tu hamesha bando ke kaam aaya

mangi khalil ne jab tujhse dua khudaya

aatish ko tune fauran ek gulasita banaya

har ilteja ne teri rahmat ko hai ubhara

parvardigar-e-aalam tera hi hai sahara

parvardigar-e-aalam 

yunus ko tune machhali ke pet se nikala

tune hi mushkilo me ayub ko sambhala

ilayaas par karam ka tune kiya  ujala

hai do jaha me ya rab tera hi bol bala

tune sada hi ilaahi bigadi ko sawara

parvardigar-e-aalam tera hi hai sahara

parvardigar-e-aalam 

yusuf ko tune maula di qaid se rihai

yaaqub ko dubara shaql-e-pisar dikhai

bahati hui nadi me musa ki raah banai

tune salib par bhi insaa ki jaan bachai

data tere karam ka koi nahi kinara

parvardigar-e-aalam tera hi hai sahara

tere siwaa jaha me koi nahi humara

parvardigar-e-aalam 

parvardigar-e-aalam tera hi hai sahara

tera hi hai sahara

tera hi hai sahara

tera hi hai sahara

Explore this song