Roman script

parakhna mat parakhne me koi apna nahi rahta

kisi bhi aaine me der tak chehra nahi rahta

bade logo so milne mein humesha fasala rakhna

jaha dariya samandar se mila dariya nahi rahta

parakhna mat parakhne me koi apna nahi rahta

tumhara shehar to bilkul naye andaz wala hai

humare shehar me bhi ab koi humsa nahi rahta

parakhna mat parakhne me koi apna nahi rahta

mohabbat ek khushbu hai humesha sath chalti hai

koi insaan tanhai me bhi tanha nahi rahta

parakhna mat parakhne me koi apna nahi rahta

kisi bhi aaine me der tak chehra nahi rahta

parakhna mat parakhne me koi apna nahi rahta

Explore this song