Roman script

paise ki pahchaan yahaan insaan ki qimat koyi nahi

bach ke nikal ja is basti me karta mohabbat koyi nahi

biwi bahan maa beti na koyi paise ka sab rishta hai

aankh ka aansu khun jigar ka mitti se bhi sasta hai

mitti se bhi sasta hai

sabka teri jeb se naata teri zururat koyi nahi

bach ke nikal ja is basti me karta mohabbat koyi nahi

shokh gunaaho ki ye mandi mitha zahar jawaani hai

kahte hai imaan jise wo kuchh noto ki kahaani hai

kuchh noto ki kahaani hai

bhukh hai mazhab is duniya ka aur haqiqat koyi nahi

bach ke nikal ja is basti me karta mohabbat koyi nahi

zindagi kya hai chiz yahaan mat puchh aankh bhar aati hai

raat me karti byaah kali wo bewa subah ho jaati hai

bewa subah ho jaati hai

aurat ban kar is kuche me rahti aurat koyi nahi

bach ke nikal ja is basti me karta mohabbat koyi nahi

karta mohabbat koyi nahi

Explore this song