Roman script
pahchan to thi, pahchana nahi maine apne aap ko jana nahi pahchan to thi, pahchana nahi maine apne aap ko jana nahi pahchan to thi jab dhup barasti hain sar pe to paanv me chhanv khilti hain main bhul gayi thi chhanv agar milti hain to dhup me milti hain is dhup aur chhanv ki khel me kyu jeene ka ishara samjha nahi pahchan to thi, pahchana nahi maine apne aap ko jana nahi main jaagi rahi kuch sapno me aur jaagi huyi bhi soyi rahi jane kin bhulbhulaiya me kuch bhatki rahi kuch khoyi rahi jeene ke liye main marti rahi jeene ka ishara samjha nahi pahchan to thi, pahchana nahi maine apne aap ko jana nahi pahchan to thi, pahchana nahi maine apne aap ko jana nahi pahchan to thi
Song details
- Singer: Chandrani Mukherjee
- Film / album: Griha Pravesh (1980)
- Composer: Kanu Roy
- Lyricist: Gulzar
- Actor: Sanjeev Kumar
- Actor: Sharmila Tagore
- Actor: Sarika
- Actor: Gulzar
- Actor: Sudha Chopra
- Actor: Danny Denzongpa
- Actor: Master Bittu
- Actor: Dinesh Thakur
- Actor: Raj Verma
- Actor: R S Chopra
- Actor: Nandlal Sharma
- Actor: Manik Dutt
- Actor: Priya Darshini
- Actor: Nitin Sethi
- Actor: Ranjan
- Actor: Devendra Khandelwal
Song video
actor: Sanjeev Kumar, Sharmila Tagore, Sarika